Dil Karta Hai Aag Laga Doon Is Zamaane Ko,
Jisne Dard Hi Dard Diya Har Diwaane Ko,
Har Pal Zakham Khaya Hai Dil Ne Mere,
Ab Kya Rah Gaya Aur Aajmaane Ko….
HAR LAMHA TERE NAAM
Maine Bhi Dil Ka Dard Bayan Kiya Hai,
Khusi Ka Har Lamha Tere Naam Kiya Hai,
Dekho Jara Yeh Mera Bigda Hua Mukaddar,
Kismat Ne Har Jagah Naakam Kiya Hai….
WOH CHAHTE HAIN
Woh Chahte Hain Hum Aabad Rahein,
Barbaadi Mein Bhi Kasar Nahi,
Har Dard Hans Ke Saha,
Phir Bhi Un Par Hua Asar Nahi….
DARD KI HAR EK HADD SE......
Dard Ki Har Ek Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main,
Phir Kabhi Na Simtunga Youn Bikhar Gaya Hon Main,
Mout Bas Naheen Aati Rooh Ke Nikalne Se,
Sans Mujh Main Baqi Hai Phir Bhi Mer Gaya Hon Main,
Zindagi Main Jitni Bhi Roshni Thi Uss Se Thi,
Mustaqil Andhero Main Ab Utar Gaya Hon Main,
Baam O Darr Bhi Us Ke Baad Ho Gaye Hain You Khamosh,
Aur Dil Ulajhta Hai Jabb Bhi Ghar Gaya Hon Main,
Us Ka Sath Jab Tak Tha Rung Rung Mausam The,
Bas Khizaan Ke Mausam Main Ab Thhehar Gaya Hon Main…
AANKHE TO PYAR MEIN.......
Aankhe To Pyar Mein Dill Ki Juban Hoti Hai,
Chahat To Sada Bejuban Hoti Hai,
Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Or Jawan Hoti Hai…
DARD NAHI SEH PAUNGI.......
Kamzor Nahi Hoon Main,
Shayad Hoon Majboor,
Dil Pe Pathar Rakhoon Main,
Nahi Mujhe Ghuroor,
Par Voh Dard Nahi Seh Paungi Main,
Agar Hogaye Tum Mujhse Door…
MUSHKIL HOTA HAI......
Har Dard Ko Toh Mitana Mushkil Hota Hai,
Gujri Yaadon Ko Bhulana Muskil Hota Hai,
Aur Baaton Ko Toh Hum Bhula Sakte Hain Sagar,
Magar Pahle Pyar Ko Bhulana Muskil Hota Hai…
LE LIYE HAIN DARD......
Bahut Jee Chuke Hum Gairon Ke Liye Sagar,
Ab Apno Ke Liye Hi Bas Jiyenge Hum,
Bahut Le Liye Hain Dard Auron Ke Humne,
Ab Toh Apno Ke Ghamon Ko Seeyenge Hum…
MAIN BHI MAJBOOR.....
Dard Saho Magar Aahein Na Bharo,
Yeh Jamane Ka Kaisa Dastoor Hai,
Na Mile Woh Hamse Na Mile Hum Unse,
Main Bhi Majboor Woh Bhi Majboor Hain…
JAAN BAKI HAI.....
Abhi Jameer Mein Thodi Si Jaan Baki Hai,
Abhi Hamara Ko Imtehaan Baki Hai,
Hamare Ghar Ko Toh Ujde Huye Jamana Hua,
Magar Suna Hai Abhi Woh Makan Baaki Hai,
Hamari Unse Jo Thi Baat Woh Khatam Huyi,
Magar Khamosh Sa Kuchh Darmiyan Baaki Hai,
Hamare Jahan Ki Basti Mein Aag Aisi Lagi,
Ki Jo Tha Khak Hua Ik Dukan Baaki Hai,
Woh Jakham Bhar Gaya Arsa Hua Magar Ab Tak,
Jara Sa Dard Jara Sa Nishaan Baaki Hai,
Jara Si Baat Jo Faili Toh Dastan Ban Gayi,
Woh Baat Khatm Huyi Daastan Baaki Hai….
DARD HOTA HAI KAHAN......
Raat ki raah mein taaron ki kaman roshan hai
Chand mein kon hai yeh kiska makaan roshan hai,
Jisko dekho mere maathe ki taraf dekhe
Dard hota hai kahan aur kahan roshan hai,
Yaad jab kabhi ghar ki aati hai toh lagta hai
Raat ki raah mein sishe ka makaa roshan hai,
Chand jis aag mein jalta hai usi shole se
Barf ki waadi mein kuhre ka dhuan roshan hai,
Subah se dhund rahe the ki kahan hai suraj
Ab najar aaye ho toh sara jahan roshan hai…
GIRA DIYA NAJRON SE......
Achha Mana Ke Koi Usul Bhi Jaruri Hai,
Koi Toh Jine Ka Dastoor Yeh Bataye Bhi,
Gira Diya Najron Se Use Namurad Ne Kyu,
Girarne Wala Usko Aakar Uthaye Bhi,
Nadi Ki Dhaar Ko Roka Hai Gaanv Walon Ne,
Ab Wohi Be Dard Ruki Dhar Ko Bahayein Bhi,
Unki Baton Par Nahin Shak Kisi Ko Hai Waise,
Apr Bharose Ke Liye Kuchh Karishme Dikhayen Bhi…